Wednesday, February 28, 2007

thoda sa roomani...


saans lete hain hum poori nahin
thodi thodi

dil ki baatein bhi
dil mein hi reh jaati hai
shabd kuch kehte hain
aur kuch aankh
thodi thodi

waqt
bhula deta hai
har chot ko
lekin
phir bhi
tees deti hai koi faans kahin
thodi thodi

uski mehfil mein bhi
rehta hoon
usse tanha
khud se hi karta hoon
uski baat
thodi thodi...

साँस लेते हैं हम पूरी नहीं
थोड़ी थोड़ी

दिल की बातें भी
दिल में ही रह जाती है
शब्द कुछ कहते हैं
और कुछ आँख
थोड़ी थोड़ी

वक़्त भुला देता है
हर चोट को
लेकिन फिर भी
टीस देती है कोई फ़ांस कहीं
थोड़ी थोड़ी

उसकी महफ़िल में भी रहता हूँ
उससे तन्हा
ख़ुद से ही करता हूँ
उसकी बात
थोड़ी थोड़ी...

Monday, February 5, 2007

ek bosa


maine bheja tha
hawaon ke saath
ek bosa
kaliyon ko cheda usne
khusboo se ki thitoli
baarish se ki kuch baaten
baadal se aankh-michauli
titli ke peeche bhaga
bhavre sang kehli holi

mere sabr ka leta woh imtehaan har pal
laya na jawab tera subah se shaam ho li

एक बोसा मैने भेजा था
हवाओं के साथ
एक बोसा
कलियों को छेड़ा उसने
खुश्बू से की ठिटोली
बारिश से की कुछ बातें
बादल से आँख-मिचौली
तितली के पीछे भागा
भाव्रे संग खेली होली

मेरे सब्र का लेता वह इम्तेहान हैर पल
लाया ना जवाब तेरा सुबह से शाम हो ली
woh kehte hain humse karo intezar
ahista ahista

hame dar hai kho na jaye bahaar
ahista ahista

koil ki kook, amiya ki dali, aur malhar
ahista, ahista

tere bagair sab hai bekar
ahista ahista

ahista ahista

baarish mein bijli ki kaundh...
aur teri be-chaini

gili chunni se
gile kurte ko dhakne ki
nadani...

yaad aati hai har woh baat
ahista ahista

jab mausam gaaye malhar
ahista ahista

Wednesday, January 31, 2007

ek pal

Maine ek pal ki khawahihs rakhi
do pal ke liye vasle yaar ho jaaye

rat kat jaaye chahe tanha
subah ko tera deedar ho jaaye

thoda tere saath muskuraoo main
chahe uske baad takrar ho jaaye

tujshe ranjish bhi mujhe mubarak hai
koi rishta to kayam ho jaye

saaye

har dil mein hai pal rahen kuch armano ke saye hain
kisi ne yaad rakha hai
koi rakhe bhulaye hai
tera naam ret par likh kar
mitaya tha jahan
aaj bhi us saahil par takrate
kitni maujon ke saaye hai

Monday, January 29, 2007

mandir

humko kisi ke pyar ne kya kya sikha diya
ke mushkilon ko bhi apni ghazal bana diya

khud ke hi kandhe pe giraye khun ke asoo
khud ko hi dost kaha, khud ko rula diya

khud hi ban gaye apne katl ke gawah
khud ke hi seene mein kahin khanjar chupa liya

kya dhundhna usey ke woh khuda to nahin
dil mein hi uske liye mandar bana liya

khargosh

yaado ke katile jhurmut mein
khawab...nanhe khargosh ho jaise
chupe hain baithe

kuch dare-dare se
tumhare kadmo ki aahat bhi
unhe sahma jaati hai

Agar
mil jaayen woh
to itna yaad rakhna
unhe pinjaron mein kabhi
band mat karna

Thursday, January 4, 2007

aag ka dariya

meri aankhon mein
is tarah se
tum mat dekho

vahan ik khwab chupa hai
use mat dekho

chandani raat nahin usme
phoolon ki baraat nahin
dil ko bahlaye tumhare
aisi koi baat nahin

usme ik aag ka dariya hai
use mat dekho

Monday, January 1, 2007

surkh phool

roj...
chandani phoolon par barsti hai
aaj...
ik nayi baat karo
chandani par
surkh phoolon ki barsaat karo

chand ko chumne se shuruat karo....