Monday, January 29, 2007

mandir

humko kisi ke pyar ne kya kya sikha diya
ke mushkilon ko bhi apni ghazal bana diya

khud ke hi kandhe pe giraye khun ke asoo
khud ko hi dost kaha, khud ko rula diya

khud hi ban gaye apne katl ke gawah
khud ke hi seene mein kahin khanjar chupa liya

kya dhundhna usey ke woh khuda to nahin
dil mein hi uske liye mandar bana liya

1 comment:

रंजू भाटिया said...

fir wahi se baat labo par aa ke rah gayi
koi baat geeto mein dhal ke rah gayi

basa liya unki muart ko jab se dil ke aaeine mein
yahan har nazar bas mujh tak aa ke tahar gayi !!