Wednesday, January 31, 2007

ek pal

Maine ek pal ki khawahihs rakhi
do pal ke liye vasle yaar ho jaaye

rat kat jaaye chahe tanha
subah ko tera deedar ho jaaye

thoda tere saath muskuraoo main
chahe uske baad takrar ho jaaye

tujshe ranjish bhi mujhe mubarak hai
koi rishta to kayam ho jaye

saaye

har dil mein hai pal rahen kuch armano ke saye hain
kisi ne yaad rakha hai
koi rakhe bhulaye hai
tera naam ret par likh kar
mitaya tha jahan
aaj bhi us saahil par takrate
kitni maujon ke saaye hai

Monday, January 29, 2007

mandir

humko kisi ke pyar ne kya kya sikha diya
ke mushkilon ko bhi apni ghazal bana diya

khud ke hi kandhe pe giraye khun ke asoo
khud ko hi dost kaha, khud ko rula diya

khud hi ban gaye apne katl ke gawah
khud ke hi seene mein kahin khanjar chupa liya

kya dhundhna usey ke woh khuda to nahin
dil mein hi uske liye mandar bana liya

khargosh

yaado ke katile jhurmut mein
khawab...nanhe khargosh ho jaise
chupe hain baithe

kuch dare-dare se
tumhare kadmo ki aahat bhi
unhe sahma jaati hai

Agar
mil jaayen woh
to itna yaad rakhna
unhe pinjaron mein kabhi
band mat karna

Thursday, January 4, 2007

aag ka dariya

meri aankhon mein
is tarah se
tum mat dekho

vahan ik khwab chupa hai
use mat dekho

chandani raat nahin usme
phoolon ki baraat nahin
dil ko bahlaye tumhare
aisi koi baat nahin

usme ik aag ka dariya hai
use mat dekho

Monday, January 1, 2007

surkh phool

roj...
chandani phoolon par barsti hai
aaj...
ik nayi baat karo
chandani par
surkh phoolon ki barsaat karo

chand ko chumne se shuruat karo....