Friday, December 29, 2006

apne hi hathon se chot khaai hai
ki maine khud se ki bewafai hai

kyun kahun main ke woh sandil hain
ye mera dil hi hai jo harjai hai

kyun aasoon se jalaon daaman tera
yeh mohabbat ki rusvai hai

chod aaya tha jis mod par khud ko
zindagi vapas wahan le aayi hai

dard-e-dil

dard se jo dil laga baithe
apne hi haathon se chot kha baithe

khud hi nashtar kharid laaya tha
khud hi maktal dil ko banaya tha

apne haathon se kiya khud ko halal
aur katil tumhe bana baithe

main jo uthne laga tha uski mehfil se
jaane kitne raqib aa baithe

rooth kar fir bhi main chala jata
itne mein woh muskura baithe

Wednesday, December 27, 2006

namak ka ghar

dil ke kone me ek namak ka ghar
apne zakhmo ke liye banaya hai

apni har chot ko dard ko gum ko
uska pata likh bhej diya hai maine

aao ik bar jara aakar to dekho
kaise aasoono se use sajaya hai

tumhare paas bhi jo kuch jama hai dukh mere
saath laana unko bhi bina bhule tum

adhure shabd

kuch shabd adhure rehne do

sooraj ki kirne beendh kar
yeh kisne indradhaush banaya hai
in rangon se khelo tum

yeh mrigtrishna hai, sochoge
to rang saare mit jaayenge
har cheez ko na do paribhasa

kuch shabd adhure, rehne do...

Monday, December 25, 2006

woh rain

pal bhar mein beet gayi woh rain
jisne cheena tha barson ka chain

ek tasvir rah gayi
do nain

pal bhar mein beet gayi woh rain...

naaz

naaz tha bahut apni tanhai par hame
band kar rakhe they
dil ke khidki-darwaje sabhi
isi be-khyali mein...

jaane kaise khyal unke aaye
aur dost ban gaye
(kahin koi suraakh bach gaya tha shayad)

ek khayal

kai baar deha hai khud ko teri ankhon se
aur har bar khud par hairani hui hai

tere mere beech...

baaten kam ho aur jazbyaat jyada
kya aisa nahin ho sakta

sawal kam ho jawab jyaada
kya aisa nahin ho sakta

tanhai kam ho, mulaqat jyaada
kya aisa nahin ho sakta

raat kam ho aur khwab jyaada
kya aisa nahin ho sakta

raaj

raaj koi dil mein mere mehekne lage hain
ke main yun hi aksar muskurane laga hoon

aksar kuch yaad kar hoon hans padta
main koi bhoola sa geet phir gungunane laga hoon

aur kabhie ro bhi padta hoon aksar
andhere kono mein asoon bahane laga hoon

tum they?

duniya ki bheed mein
ek phool maara tha kisi ne

woh tum they
ya hawa ka zhonka tha?

mere uthane ke pehle hi
saikdo pairon tale
woh kuchla tha gaya

batao, tum they...
ya hawa ka zhonka tha?

meri sardi par...

kaapte haathon se ek pyala
pilaya tha usne
pados se maang ke adrak
milaya tha usme
meri sardi dekh kar
chad gaya tha bukhar usko
bheege mausam ko bhi do char
sunaya tha usne...

tere saath

kuch saanse tere saath
jo le leta hoon
meri rooh ki thakan
kam ho jaati hai

raasta...
kuch dikhai dene lagta hai
saaf sa
thodi dhund peeche
simat jaati hai

durbeen

ek din
man ke viran ilakon par
durbeen ghumai
to maine dekha...

Kuch shabd
rishton ki talaash mein
bhatk gayen they

aur kuch rishte
shabdon ko talaash
kar rahen they

kash...woh mil paate

maine socha, mila doon unhe
ek doosre ka pata
bata doon unhe
par...phir rok liya khud ko maine
kyunki, yeh laga
aksmaat milne ki khusi
se unhe kyun vanchit rakhoon

Friday, December 22, 2006

hoon khuda nahin

kyun farishto ka raasata dekhoon
main insaan hoon, koi khuda nahin

milan hoga, toh faasle honge, durian bhi
ke main insaan hoon, khuda nahin

khushi ke saath
dukh bhi hoga, hogi majbooriya bhi
ke main insaan hoon, khuda nahin

ke main kab tak khud ka sath de sakoo,
pata nahin
main insaan hoon
khuda nahin

katra katra jindagi

ya to katra-katra sambhal kar jiyo
ya khatre utha kar
jindagi ek saans ki dor hai
ek din tootegi hi
woh ek nashukra mehbooba hai
ek din roothegi hi

majmoon

dard ke khat kabhie padhta hoon
kabhie bina padhe hi
majmoon jaan leta hoon
uski likhai andheron mein bhi
uski khusboo se pehchaan leta hoon

shor

dabe paaon khusiyan aakar chali gayin
main duniya ke shor me gum tha
sun na paaya aahat unki

aaj bhi yeh baat yaad kar ke
apne dil ko main beqarar karta hoon
kal afsos keh na paaya tha
aaj keh doonga pyar karta hoon

karar mila nahin

karar paane ko mandir gaya tha
par sirf ek moorat mili mujhe
khuda nadarad tha

phir tere ghar gaya
tune zhooti tasalli de
behlaya mujhko
par teri ankhon se bhi
pyar nadarad tha

phir maikhane gaya
saaki tha, jaam tha
sharab thi, saathi bhi they kayi
par sabki ankhon se
khumar nadarad tha

Acchi khusboo aa rahi hai...

dekho, degchi kadhai ko dekh vyang se muskura rahi hai
cooker, besharm sa bajaye raha hai siti
chakla-belan ki tu-tu main main
badhti jaa rahi hai

par khusboo acchi aa rahi hai…

Chawalon se bhi teri khosboo aati hai…

Kitchen mein kaam karte hue
phulkon ke saath
shabdon ke phool chunna

basmati mein kisi ki khusboo sungh kar
khyalon ki angithi par khichdi rakhna

dal-tarkari se kuch swad
aur masaledaani se kuch chatak rang chura kar
naye pakwan
vicharon ki aanch par chadha
haule haule
kalpana ki kalchi se
chalate hue banana

dil ke kisi kone mein baith
khud ko phir serve karma
(khud hi kha lena aur tarif karna)

asli mein har kavi ek rasoiya hota hai…

Wednesday, December 20, 2006

manzilen aur bhi hain

Dard ki bhi
ek hadh hoti hai
mumkin hai key
yeh sach ho
par shayad
raaste...
kuch lagne lage
hain acche
yun mujhe
ke manjilon ke paas aakar
main vapas kadam badhata hoon
khul kar hasna chod diya hai maine
ab sirf main muskurata hoon

Monday, December 18, 2006

sweater

sard raat hai,
sard mauam hai
mere dil mein lagi aag
fir bhi jyon ki tyon hai
yeh manjar dekh
kitno ka dil paseeja hai
garm haathon ne
barf ka sweater
kai baar buna hai
magar kya karen
har baar
taar-taar
voh ho jaata hai
dil ke shole
kam nahin hote
katra-katra barf ka beh jaata hai...

ae kalpana

hawaon ki tarah
dishaon ki jaroorat nahin tumhe
khud ek disha ho tum
ya yehn kahun
aakshkanga ki tarah
ek aviral dhara ho tum
isliye...
bandho na khud ko bhoot mein,
vartmaan mein,
ya bhavishya mein
bas behti raho yunhi
apne hone ke uplakshya mein

Saturday, December 16, 2006

Chalo ek baat kare

Chalo aaj ek baat kare
apni choton se ru-baru ho kar,
chai pite hue kuch hasee-majak karen

Jinko sahej kar rakha hai kisi kone mein
dil ke challon se bhi ek mulaqat karen

thoda purani peer ko apni,
tahlene le jaayen

dard ki gard jhar de,
thodi hava dikhayen

aao hum andheron ko thoda maaf karen
nayi roshni ke liye kuch jageh saaf karen

Bookmarks

bookmarks

Aaj jab purani kitabo ko saaf kiya
kuch murzaye phool
kuch chand ki kirne
kuch baarish ki khusboo
kuch sapno ke tukde
kitabo ke beech miley
ek adh baal bhi tha shayad...

Yehi bach jaate hain
beete mausam ke yaadgar
zindagi ki kitabo main rakhe
purane bookmarks
Ek khat

Ek khat maine likha tha kisi ko
par abhi tak post nahi kar paya hoon

Dhundta rah gaya naam aur pata
tumhe maloom ho to batana

Kabhi...
khusboo bhi dikahyee de jaati hai

Raat main, tanhaaiyi,
naye putle bana jaati hai
Un putlo se bhi poochta hoon main
Yeh khat, tum mein se kisi ek ka to nahin hai?

Kabhie apni hi parchayi bol padti hai
padh to lo,
kya likha tha khat mein
par us purane lifafe ko, kholne se darta hoon main...

Shayad har aashiq ke paas
aise khat maujood hain
sirhaane ke neeche
ya purani kitabon ke beech...

Mahaul

kal raat ko neend mein tera hi khwab aaya
haule se baalon mein ungliyaan pher tune tha jagaya

tu bheegi chandani si lag rahi thi
mere bhitar ek chingari sulag rahi thi

kuch der meri rooh ko panah mili
phir bhor ka tara uga
aur khud ko maine tanha paaya

raat beeti thi khushali mein
subhah maine mahaul badla paaya

mat suna karo

mat suna karo unhe jo kehte hain
halal kar do kafiron ko khuda ke naam par

mat suna karo unhe jo kehte hain
mandir ki murti ki bhi jaat hai hoti

mat suna karo unhe jo faag mein
rang se nahin khun se kehlte hain holi

raat ko kisi ke ishq ke kisse sunana
yeh jaanleva nahi bemaari hai

Traffic

'Ghum rehata hoon main apni duniya mein'
Unko shikayat hai

Aur woh rehte hain sirf apni duniya mein
mujhko shikayat hai

Dono apni-apni dhuri par ghoom rahen hai
aakshganga ke traffic jam mein phasein do gruh

Kabhie sadak jaam hone par paas aate hain
traffic thik hote hi, faasle badh jaatein hain

Thursday, December 14, 2006

nayi fasal

yaado ke kuch naye beej panapne lage hain
mere banjar dil mein ab bhi jaan hai baaki

thode phool ugenge
(aur kaante bhi aayenge)

kuch ped bade honge
kuch kumhalayenge

par ab jaden khud
main katoonga nahin

Wednesday, December 13, 2006

zakhm so rahen hai

zakm dil mein gehre soye hain kahin mere
unhe jagane ka dil nahin karta

thak gaye the voh khud se hi ladte ladte
phir bhi neend veeran thi aankho se unki

ek maa ki tarah suna lori sulaya tha maine
ab uthane ka unhe ji nahin karta

daag daaman ke kahin ho jaaye na gehre
aur asoon bahana accha nahin lagta

thodi haseen...

khawabon se roshan jab jahaan hoha
tabhi toh haqeeqat ke phool khilenge

khamosh hokar jab tum sunoge
tabhi aane wale kal ki aahat degi sunaiye

nayi yaadon ko panapne do jahan mein
ke tanhaiyan tumhari naye dost chahti hain

dil ki deewaron mein bhale siskiya ho
par ek choti si khidki unme jod do tum

kilkhilhaton ka ik ghosla banakar
thodi haseen vahan basna chahti hai

kuch aur adhure khayal

rafta rafta har daur gujar jaata hai
waqt ke saath har shor tham jaata hai
Aur kabhie kabhie gham ka katra bhi
kagaz mein bo do to sher ban jaata hai
***
kahan jaon...shaher anjaana hai
us mod se bahut door aa gaya hoon main

par phir bhi chappa-chappa lagta pehchana hai
kya yeh shaher waqui anjana hai?
***
agar jeena hai to mujhe yeh karna hoga
tere baad, teri yaad ko bhi marna hoga
***
kaun mere ruthe dil ko manane aayega
waqt he ik din marham ban jaega
***
rang mohabbat ka ho jab aankhon mein
tab neend kaise aayegi
rang-birangi khwaishein
titliyain bankar
khwabon ki waadi mein jhilmilaayengi
***
taj aashiqo ke liye hi bana hai
Aur ashqo ke liye bhi
jaane kitni aahon ka makbara hai woh

kuch adhure khayal...

purane zakhmo par thoda malham laga lo
aao apne dil par kuch naye zakm uga lo...
****
maine ik din chand se poocha
kiska rasta dekh rahe ho

uska, toota, dil yeh bola --
"khud se hi main jhoojh raha hoon
apni dhuri par ghum raha hoon
sadion pehle rooth gaya tha
ek saathi jo bichad gaya that
tabse usko mana rahan hoon"
*****

Thursday, December 7, 2006

new blog

For some strange reason I am starting a new blog

dedicated readers, please bear with me!