Saturday, December 16, 2006

Bookmarks

bookmarks

Aaj jab purani kitabo ko saaf kiya
kuch murzaye phool
kuch chand ki kirne
kuch baarish ki khusboo
kuch sapno ke tukde
kitabo ke beech miley
ek adh baal bhi tha shayad...

Yehi bach jaate hain
beete mausam ke yaadgar
zindagi ki kitabo main rakhe
purane bookmarks

1 comment:

रंजू भाटिया said...

zindagi ke kuch pane kabhi kabhi kasie ulajh jaate hain
hum unko fir de nishaan bhi pad nahi paate hain

keh jaate hain woh unkahe se kise
jinhe hum chaha kar bhi kabhi apni jubaan se keh nai paate hain !!

ranju