Monday, December 18, 2006

ae kalpana

hawaon ki tarah
dishaon ki jaroorat nahin tumhe
khud ek disha ho tum
ya yehn kahun
aakshkanga ki tarah
ek aviral dhara ho tum
isliye...
bandho na khud ko bhoot mein,
vartmaan mein,
ya bhavishya mein
bas behti raho yunhi
apne hone ke uplakshya mein

1 comment:

रंजू भाटिया said...

bahut accha likha hai

main khud mein hi behti si koi nadi hoon
kabhi tham ke chali kabhi rok ke chali hoon
samate apne bheetar na jaane kitne ankahe kisse
main khud hi kabhi khud se mili hoon !!

ranju