Saturday, December 16, 2006

Traffic

'Ghum rehata hoon main apni duniya mein'
Unko shikayat hai

Aur woh rehte hain sirf apni duniya mein
mujhko shikayat hai

Dono apni-apni dhuri par ghoom rahen hai
aakshganga ke traffic jam mein phasein do gruh

Kabhie sadak jaam hone par paas aate hain
traffic thik hote hi, faasle badh jaatein hain

1 comment:

रंजू भाटिया said...

yun hi zindagi ki raha per chalte hue
kab ek dusare se kuch fasale ho gaye

apni apni uljhan mein uljahe hue hum dono ki rasate juda ho gaye

mile bhi toh jehan mein thee bas duniya daari ki hi baate
bacho ki chinta ,ghar ke ke kharche ,tarffic ki hadbadi
bas in sabke beech na jaane woh jo they pyaar ke kuch anmol pal
woh kab kaise na jaane fanna ho gaye !!