Wednesday, December 13, 2006

kuch aur adhure khayal

rafta rafta har daur gujar jaata hai
waqt ke saath har shor tham jaata hai
Aur kabhie kabhie gham ka katra bhi
kagaz mein bo do to sher ban jaata hai
***
kahan jaon...shaher anjaana hai
us mod se bahut door aa gaya hoon main

par phir bhi chappa-chappa lagta pehchana hai
kya yeh shaher waqui anjana hai?
***
agar jeena hai to mujhe yeh karna hoga
tere baad, teri yaad ko bhi marna hoga
***
kaun mere ruthe dil ko manane aayega
waqt he ik din marham ban jaega
***
rang mohabbat ka ho jab aankhon mein
tab neend kaise aayegi
rang-birangi khwaishein
titliyain bankar
khwabon ki waadi mein jhilmilaayengi
***
taj aashiqo ke liye hi bana hai
Aur ashqo ke liye bhi
jaane kitni aahon ka makbara hai woh

1 comment:

रंजू भाटिया said...

yeh likhe lafaz hi mujhe zinda rakahte hain
mere sapano mein yahi toh rang bharte hain
dil mein jab utahata hai dard koi
yahi sahabd mere jeene ak sabab bante hain

ranju