zakm dil mein gehre soye hain kahin mere
unhe jagane ka dil nahin karta
thak gaye the voh khud se hi ladte ladte
phir bhi neend veeran thi aankho se unki
ek maa ki tarah suna lori sulaya tha maine
ab uthane ka unhe ji nahin karta
daag daaman ke kahin ho jaaye na gehre
aur asoon bahana accha nahin lagta
1 comment:
kuch dard aaj seene mein dafan rehne do
manaa duriyaan hai tere mere bahut
yeh duriyaan ab yun hi rehne do
yeh ashq aaj jo beh rahe hain
yeh nishnaai hain unke pyaar ki
aaj in ashqo ko apni kahaani kehne do!!
ranju
Post a Comment