Saturday, December 16, 2006

Ek khat

Ek khat maine likha tha kisi ko
par abhi tak post nahi kar paya hoon

Dhundta rah gaya naam aur pata
tumhe maloom ho to batana

Kabhi...
khusboo bhi dikahyee de jaati hai

Raat main, tanhaaiyi,
naye putle bana jaati hai
Un putlo se bhi poochta hoon main
Yeh khat, tum mein se kisi ek ka to nahin hai?

Kabhie apni hi parchayi bol padti hai
padh to lo,
kya likha tha khat mein
par us purane lifafe ko, kholne se darta hoon main...

Shayad har aashiq ke paas
aise khat maujood hain
sirhaane ke neeche
ya purani kitabon ke beech...

1 comment:

रंजू भाटिया said...

ek khat puraani yaado ka mere pass aaj bhi mehfuz hai
jise kabhi pad ke kabhi yun hi dil se laga ke muskara leti hoon

waqt lagega un bhule hue kiso ko dil se miltaane mein
is liye aaj bhi unhe duniya ki nazar se chipa ke apne dil ko unki yaado se meheka leti hoon !!


ranju