Friday, December 22, 2006

Chawalon se bhi teri khosboo aati hai…

Kitchen mein kaam karte hue
phulkon ke saath
shabdon ke phool chunna

basmati mein kisi ki khusboo sungh kar
khyalon ki angithi par khichdi rakhna

dal-tarkari se kuch swad
aur masaledaani se kuch chatak rang chura kar
naye pakwan
vicharon ki aanch par chadha
haule haule
kalpana ki kalchi se
chalate hue banana

dil ke kisi kone mein baith
khud ko phir serve karma
(khud hi kha lena aur tarif karna)

asli mein har kavi ek rasoiya hota hai…

1 comment:

रंजू भाटिया said...

very nice .....

har likha lafaz ek sulagate hui aanch sa dil se uathata hai
kuch der dimag ke pyaale mein ubalkar kagaz per fir bikharta hai

kabhi fail jaata hai yeh jehan per
kisi ki andekhi khushboo sa
kabhi yun hi jalte hui sabzi sa dil mein jal uatahta hai

ban hi jaata hai fir kuch naya sa ek pakwaan dil ki zameen per
jab bhi koi sher mukamal ho ke zindagi ki kadaai mein pakata hai!!

ranju