Saturday, December 16, 2006

Mahaul

kal raat ko neend mein tera hi khwab aaya
haule se baalon mein ungliyaan pher tune tha jagaya

tu bheegi chandani si lag rahi thi
mere bhitar ek chingari sulag rahi thi

kuch der meri rooh ko panah mili
phir bhor ka tara uga
aur khud ko maine tanha paaya

raat beeti thi khushali mein
subhah maine mahaul badla paaya

1 comment:

रंजू भाटिया said...

bheegi raato ke hain yeh khawaab
inhe khawaab hi rehne do

jab yeh asliyat ki zameen per utarenge
toh teri meri tarah yeh bhi snang dil ho jaayenge

keh toh lenge yeh apbi baat geeto mein
asliyat mein yeh ek kadam bhi bina sahaare kahi khil na paayenge !!


ranju