Monday, December 25, 2006

naaz

naaz tha bahut apni tanhai par hame
band kar rakhe they
dil ke khidki-darwaje sabhi
isi be-khyali mein...

jaane kaise khyal unke aaye
aur dost ban gaye
(kahin koi suraakh bach gaya tha shayad)

1 comment:

रंजू भाटिया said...

raat aur din jab milte hain toh ek hawa si chalti hai
mere dil mein aaj bhi teri hi mohabbat ki aag jalti hai

jaise subeh dekhi maine ek umeed ki jahalk kirno mein
wasie hi aaj bhi tere milne ki ek umeed mere dil mein palti hai

ranju