Wednesday, December 27, 2006

namak ka ghar

dil ke kone me ek namak ka ghar
apne zakhmo ke liye banaya hai

apni har chot ko dard ko gum ko
uska pata likh bhej diya hai maine

aao ik bar jara aakar to dekho
kaise aasoono se use sajaya hai

tumhare paas bhi jo kuch jama hai dukh mere
saath laana unko bhi bina bhule tum

1 comment:

रंजू भाटिया said...

"KHUD APNI BEBASI KI UDAI HAI YU HANSI,
AAYE JO ASHQ AANKH MEIN HUM MUSKURA DIYE."