Monday, December 25, 2006

tere mere beech...

baaten kam ho aur jazbyaat jyada
kya aisa nahin ho sakta

sawal kam ho jawab jyaada
kya aisa nahin ho sakta

tanhai kam ho, mulaqat jyaada
kya aisa nahin ho sakta

raat kam ho aur khwab jyaada
kya aisa nahin ho sakta

1 comment:

रंजू भाटिया said...

kuch zakham abhi taaza hai mohbbat ke
inko abhi apne daman se hawa mat dena
jab puche koi rishta tumse hamara
toh haqaikat se parada uthane na dena

ranju